Net banking kya hota hai

Aajkal  Internet ke jariye sari suvidhayen uplabdh ho gai hai . Issi tarah bank se suvidha prapat karne ke liye Net Banking ki bhi suvidha ho gayi hai. Internet ki suvidhayen ab jindagi ka hissa banti ja rahi hai. Iske bina hamara koi bhi karya pura nahi hota hai. Issi prakar Internet ke jariye Banking karne ko hum Net Banking kahte hai.

Net banking kya hai?

Net Banking ks dwara dene wali aisi suvidha jiske jariye unke grahak aasani se ghar baithe he internet ki shayata se apne bank account ke bare me vistrit jankari prapt ker sakti hai. Jinko bank jane ka samay nahi mil pata hai ya bank unke sthan se door ho to ve mobile ya computer ki madad se net banking ki suvidha prapat ker sakte hai.

Net Banking se milne vali suvidhayen

  1. Net banking bank se passbook, credit card, cheque book jaise aur bhi kai cheejo ke liye online apply ker sakte hai.
  2. Net banking ki madad se kharidari, bilo ka bhugtan karna ityadi ker sakte hai.
  3. Online account ka upyog aasani se kiya ja sakta hai. Iske liye bhugtan ki rasid sambhalne ki aavshyakta nahi hai.
  4. Aap kahin bhi bank ka kam ker sakte hai. Iske liye internet ke connection ki jarurat hogi.
  5. Jab bank band ho ya kisi tarah ki chchutti ho to bhi paise ka len den net banking ke dwara chalta rahta hai. Bank khulne ka intjar nahi karna padta hai. Kam jaldi se aasani se ho jata hai.
  6. Net banking ki suvidha ke hone se ye pata chal jata hai ki aapne bank se paise nikale hai, kyonki iske karan mobile me turant suchana aa jati hai. Jiski vajah se account ki nigrani ho jati hai.
  7. Pahle bank me jane per hi bank ki suvidhaon ki jankari prapt hoti thi. Lekin ab net banking ki suvidha se mobile per hi aap nivesh, loan itiyadi suvidhaon ki jankari mil jati hai.
  8. Net banking ki madad se aap fixed deposit ya rekring deposit khata khol sakte hai.

Net Banking kaise shuru Karen ?

Net banking offline aur online dono tariko se ki ja sakti hai.

Online Method:

  1. Sabse pahle apne bank ke official website per jaye . leking website https se start honi chahiye. Agar https se start nahi hoti to iska matlab vo fake website hai.
  2. Website ke open hone ke bad sign up/register ka option show hoga us per click kare.
  3. Ab registeration form achche se fill kare isme aapse kuchch personal details bhi mangi jayegi security purpose ke liye.
  4. Aapko apna mobile number otp ki sahayata se verify bhi kerwana hoga.

Offline Method:

  1. Sabse pahle apne najdiki bank me jaye vahan per aapko net banking ke liye form diya jayega.
  2. Us form ko achche se fill kare jisme aapse Adhar card, Pan card jaise document bhi mange ja sakte hai.
  3. Ab 1-2 week wait kare aapko bank ki taraf se post milege jisme aapke net banking ke details honge jaise ki username aur password. Jiski madad se net banking login ker sakte hai.

Net Banking ke liye jaruri bate

  1. Aapke pas ek bank account hona chaiye.
  2. Bank Account ka ATM Card hona jaruri hai. Kyonki is ATM Card ke bina net banking nahi ker sakte hai.
  3. Jis Bank me account hai us bank me mobile number register hona chaiye. Yadi register nahi hai to bank ki branch me jaker mobile number register kareyen.
  4. Yadi aapke mobile number bank me hai, to vahi number aapke pas hona chaiye net banking ke password aapko usi number per milenge.

Net banking Shuru karne per savdhani

  1. Apne online banking ki detail kisi ko nahi dena chaiye
  2. Apne computer, mobile ya laptop per license prapt antivirus rakhe jo aapke sbhi file ko surkshit rakhega.
  3. Jis samay internet banking ki jarurat nahi hai, us samay internet off ker le.
  4. Net banking ke liye cyber café me computer ka istmal nahi kare. Sath hi password bhi badlate rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Translate »