Har kshetra me aaj computer ki mang badati ja rahi hai. Jiske liye aap computer operator job kar sakte hai yah ek aisi job hai jise koi bhi technical aur non technical vyakti bade hi aaram se kar sakta hai. Aap bhi is kshetra me apna ek behtar career bana sakate hai.
Aajkal hark am me computer ki sabse jyada jarurat hoti hai. Chahe government office ho ya private sabhi jagah computer aawashayak ho gaya hai to iske liye aap computer operator ki job kar sakte hai bus aapko computer ka basic knowledge hona jaruri hai.
Computer operator banana se pahle computer operator ke bare me jankari hona jaruri hai ki computer operator kya hota hai.
Computer me data input karne ka kam computer operator ke dwara kiya jata hai. Computer operator ko output device jaise keyboard, printer, mouse ka proyog karna aana chahiye kyonki is kam ke liye inhi ka istemal karna hota hai. Iske liye typing speed aur computer ka basic gyan sabse jyada kam aata hai.
Ek computer operator ek company ya sangathan me computer system vishesh roop se mainframe computer system ki nigrani aur niyatran ke liye jimmedar vyakti hai. Computer operator ko aksar mukhya computer ke operating system ko janne ya sikhne ke liye kaha ja sakta hai, jaise IBM ke OS/390 aur iske job entry subsystem , local area network operation, aur kisi niyokta dwara upyog kiye jane vale application. Ek computer operator ko prabhavi dhang se dusaro ke sath batcheet aur samwad karna chahiye, swatantra roop se kam karne me saksham hona chahiye, majboot vishleshan ka kaushal hona chahiye aur samasya stithi ko pahchanane vala hona chahiye.
Computer Operator ki yogyata
Typing Speed :
Ek computer operator ka mukhya kam typing ke dwara data entry karna hota hai, isliye typing speed ka sabse jyada dhyan rakhna hota hai. Agar aapki itni typing speed hai to aap computer operator ke liye apply kar sakte hai.
Knowledge of language : aap jis bhasha me type karenge uska aapko pura knowledge hona chahiye. Kai bar aisa hota hai ki aapko english aur hindi dono me type karna hota hai. Bhasha ka gyan hona jaruri hai.
Knowledge of Computer :
Computer Operator ka kam hi computer par hota hai. Isliye operator ko computer ka aavashayak gyan hona jaruri hota hai. To computer ki samajh aur computer shortcut keys ki samajh hona chahiye thatha typing ke sath sath Microsoft Word, Microsoft Power Point, Microsoft Excel ko operate karna aana chahiye. Agar aapko in sabhi baton ka gyan hai to aap computer operator ban sakte hai.
Educational Qualification:
Computer operator banana ke liye ummidwar ko 12th pass hona jaruri hai aur kuchch jagahon par graduation bhi managa jata hai thatha sath hi computer ka 5 mahine ka diploma bhi manga jata hai aur yah is bat par bhi nirbhar karta hai ki aap kis post ke liye aaply kar rahe hai ya kis department me aapko kam karna hai.
Age :
Computer Operator banana ke liye ummidwar ki minimum Age 18 aur Maximum Age 30 varsh hona chahiye.
To agar aapke pas yah qualification aur age hai to aap computer operator ke liye apply kar sakte hai.
Computer Operator ke karya
- Inka mukhya kam data entry karna hota hai. Computer par suchnaon ko operator karna ya data ko computer feed karna. Jiske liye key-board, mouse, scanner aadi ka istemal kiya jata hai.
- Key-board ke dwara koi bhi Word Type karna Computer ki bhasha me data kahlata hai. Chahe koi word ho, image ho ya koi video ho jise computer me feed karna hota hai.
- Microsoft Excel me Data Enter karna hota hai.
- Computer Operate ko MS Word me document bhi banana hota hai.
- In sabhi kamo ke sath hi computer operate ko kabhi kabhi email bhi karna hota hai. Yah the computer operator ke karya jo ek computer operator ko karne hote hai.
Computer Operator ki Salary
Computer Operator me behtar carrier ke sath achchi Salary bhi milti hai. Computer Operator ki job profile alag-alag Sector me alag-alag hoti hai.
Sector ke anusar alag-alag salary bhi di jati hai. Mukhya roop se 2 sector hote hai Government Sector aur Private Sector in sector me vyakti ki yogyata anubhav ke adhar par salary nirdharit ki jati hai.
Government Sector – 10,000 se 20,000
Privat Sector – 14,000 se 20,000
Nishkarsh
Yahan aapne Computer Operator ki jankari prapt ki. Is tarah aap Computer Operator ban sakte hai.